How to create a branded YouTube Channel and how to customise it and it's terms and conditions
YouTube ek aisa platform hai jaha pe koi bhi byakti apana talent dikha sakta hai or earn kar sakta hai. Jo jitna apna talent ko jitna achhe se express kar payega utna hi profit kama sakta hai. Jaha pe har taraha ki video available hai kisi bhi chiz ke bare me agar aapko janna hai to aap youtube pe search kar sakte ho aapko age hajaro results mil jayega.
Agar aapko bhi koi talent hai or aap chahate ho duniya ko batane ke liye to abhi aap ek youtube channel create karo or khud ko express karo main aja bataunga youtube channel kaise create karte hai or use kaise customise karte hai or usse branded bana sakte hai or achha khasa earn bhi kar paoge bilkul free mai.
Main aj is post me aapko step by step bataunga ki aapko kya karna hai or youtube ka jo criteria and terms and conditions hai wo bhi detailed me bataunga .
How to create an Youtube channel
Agar aapka kuch bhi talent hai to aap ek youtube channel create kar sakte ho. Or khudka talent express kar sakte ho chalo dekte kaise youtube channel create karte hai...
Step:-1 Apka mobile me youtube aap hona chahiye or wo updated hona jaroori hai.
Step:-2 Apko ek G-mail id create karna hai then youtube channel ke liye achhe se ek title choose kar lena hai.
Step:-3 Then aapko youtube aap ko open karke jo g-mail aapne bana ke rakha ho use choose kar lena hai then aapko create channel pe click kar lena hai.
Step:-4 Then aapne jo Title soch ke rakha tha wo wala title ko bhar lena hai. Then search kar lena hai.
Step:-5 Then aapko ek profile picture jo ki apna YouTube channel ka logo ko upload karna hai.
Step:-6 Then aapko apna YouTube channel ke liye ek banner banana hai or use upload karna hai. Agar aapko pata nehi logo or banner kaise taiyar karte hai to mera YouTube channel ko subscribe karo or videos dek lo aap bhi logo or banner taiyar kar sakte ho bahat sare jankari videos bhara pada hai .
YouTube Channel ko branded kaise banaye
Step:-1 Apko apna mobile 'chrome' browser ko open kar lena hai. Then aapko search kar lena hai youtube studio.
Step:-2 Then apko first wala result ko choose kar lena hai. Jo ki youtube studio beta version hai.
Step:-3 Then aapko simply 'continue to studio' pe click kar lena hai.
Step:-3 Then 'Pen icon' edit option pe click kar lena hai.
Step:-4 Then aapko 'Layout' option ko choose kar lena hai or wohi pe aapko apna YouTube channel ka trailers and features video upload karna hai kiun agar koi aapka Channel visit kare to aapka ye sare video dekh ke use pata chal jayega ki aapka Channel kis chiz ke related or kitna use faida hone wala hai.
Step:-5 Then aapko 'Branding' option pe click kar lena hai or aapna youtube channel ka banner update karna hai or aapko ek 'Subscribe' bottom lagana hai jo ki har videos ke right sight footer me dikhega use kehete hai channel 'watermark' .
Step:-6 Then aapka Channel bilkul branded ho jayega bahat hi achha dikhega then aapko achhe se videos create karna hai or use upload karna hai then attractive title or thumbnail uske sath achhe waka tags dena hai or use publish karna hai.
Agar aapko patha nehi kaise videos upload karna hai to me mera next post mera next post dek lo mene step by step bataya hai. Or mera YouTube channel me bhi videos hai jaroor dek lo or channel ko Subscribe karo.
Ummid karta hoon aapko ye trick jaroor pasand aya hoga or bhi tricky or website related post dekne ke liye hume follow kare or youtube channel ko subscribe kare mera channel me or bhi bahat sare videos hai aap abhi jake subscribe karo or videos dekho.
THANKS FOR WATCHING
0 Comments